ba-lab chuse hue kyun kar nahin hain
ba-lab chūse hue kyuuñ kar nahīñ haiñ
ki haiñ gul-barg lekin tar nahīñ haiñ
nasīb-e-dushmanāñ haañ kuchh to guzre
ki ruḳhsāre tire anvar nahīñ haiñ
mubārakbād āzādī hameñ kyā
yahāñ muddat se bāl-o-par nahīñ haiñ
na pūchho sham.a se taklīf-e-hastī
ki shab-bhar meñ hazāroñ sar nahīñ haiñ
ba-lab chuse hue kyun kar nahin hain
ki hain gul-barg lekin tar nahin hain
nasib-e-dushmanan han kuchh to guzre
ki ruKHsare tere anwar nahin hain
mubarakbaad aazadi hamein kya
yahan muddat se baal-o-par nahin hain
na puchho shama se taklif-e-hasti
ki shab-bhar mein hazaron sar nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.