ba-maslahat hi sahi raaz-dan zaruri hai
ba-maslahat hī sahī rāz-dāñ zarūrī hai
rah-e-vafā meñ koī mehrbāñ zarūrī hai
jo tū shajar hai to mujh ko panāh de jānāñ
musāfiroñ ke liye sā.ebāñ zarūrī hai
baġhair naam ke tere nahīñ mirī pahchān
zamīñ ke vāste ek āsmāñ zarūrī hai
ye kis se pūchheñ ki iz.hār-e-ārzū karnā
kahāñ nahīñ hai zarūrī kahāñ zarūrī hai
ba-maslahat hi sahi raaz-dan zaruri hai
rah-e-wafa mein koi mehrban zaruri hai
jo tu shajar hai to mujh ko panah de jaanan
musafiron ke liye saeban zaruri hai
baghair nam ke tere nahin meri pahchan
zamin ke waste ek aasman zaruri hai
ye kis se puchhen ki izhaar-e-arzu karna
kahan nahin hai zaruri kahan zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.