ba-nam-e-‘ishq dil toDa gaya hai
ba-nām-e-‘ishq dil toḌā gayā hai
banā kar phir mujhe Dhāyā gayā hai
nisāb-e-‘ishq meñ shāmil nahīñ thā
sabaq jo tū mujhe sikhlā gayā hai
hameñ to vasl meñ bhī chain kab thā
tumheñ to hijr bhī raas aa gayā hai
junūñ bhī falsafa hai 'āshiqī kā
mujhe ik nā-samajh samjhā gayā hai
baḌī mushkil se jachtī hai koī shai
ḳhudā kā shukr hai tū bhā gayā hai
maiñ thā suljhā huā mā'sūm laḌkā
lagā kar vo gale uljhā gayā hai
maiñ us ko bevafā mānūñ to kaise
namāz-e-shab meñ jo māñgā gayā hai
musāfir-ḳhāna hai shāyad mirā dil
vo apne taur par aaya gayā hai
vahīñ pe muntazir huuñ muddatoñ se
mujhe vo jis jagah Thahrā gayā hai
tum us ke ġham kā andāza lagāo
nadī kī samt jo tanhā gayā hai
use sauġhāt meñ de aaya hastī
ye jis dīvāne kā lāsha gayā hai
maiñ is ko saarā pī jā.ūñgā ik din
ka.ī kashtī ko dariyā khā gayā hai
ba-nam-e-‘ishq dil toDa gaya hai
bana kar phir mujhe Dhaya gaya hai
nisab-e-‘ishq mein shamil nahin tha
sabaq jo tu mujhe sikhla gaya hai
hamein to wasl mein bhi chain kab tha
tumhein to hijr bhi ras aa gaya hai
junun bhi falsafa hai 'ashiqi ka
mujhe ek na-samajh samjha gaya hai
baDi mushkil se jachti hai koi shai
KHuda ka shukr hai tu bha gaya hai
main tha suljha hua ma'sum laDka
laga kar wo gale uljha gaya hai
main us ko bewafa manun to kaise
namaz-e-shab mein jo manga gaya hai
musafir-KHana hai shayad mera dil
wo apne taur par aaya gaya hai
wahin pe muntazir hun muddaton se
mujhe wo jis jagah Thahra gaya hai
tum us ke gham ka andaza lagao
nadi ki samt jo tanha gaya hai
use saughat mein de aaya hasti
ye jis diwane ka lasha gaya hai
main is ko sara pi jaunga ek din
kai kashti ko dariya kha gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.