ba-qadr-e-fikr sujhae hue usi ke hain
ba-qadr-e-fikr sujhā.e hue usī ke haiñ
ye saare lafz batā.e hue usī ke haiñ
har ek shāḳh pe min-fazl-e-rabbī likkhā hai
tamām phuul khilā.e hue usī ke haiñ
ye mominīn haiñ shahkār us kī qudrat kā
ye mushrikīn banā.e hue usī ke haiñ
usī ne 'arsh pe Tāñkā hai chāñd-tāroñ ko
zamīñ pe peḌ lagā.e hue usī ke haiñ
vagarna aañkh meñ qabza thā ġham kī faujoñ kā
ham aise log hañsā.e hue usī ke haiñ
ye qaum-e-lūt kī bad-kāriyoñ ke chehre par
'azāb-o-qahr sajā.e hue usī ke haiñ
usī ke hukm kā pāband hai qalam merā
ye saare she'r likhā.e hue usī ke haiñ
ba-qadr-e-fikr sujhae hue usi ke hain
ye sare lafz batae hue usi ke hain
har ek shaKH pe min-fazl-e-rabbi likkha hai
tamam phul khilae hue usi ke hain
ye mominin hain shahkar us ki qudrat ka
ye mushrikin banae hue usi ke hain
usi ne 'arsh pe Tanka hai chand-taron ko
zamin pe peD lagae hue usi ke hain
wagarna aankh mein qabza tha gham ki faujon ka
hum aise log hansae hue usi ke hain
ye qaum-e-lut ki bad-kariyon ke chehre par
'azab-o-qahr sajae hue usi ke hain
usi ke hukm ka paband hai qalam mera
ye sare she'r likhae hue usi ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.