ba-qadr-e-josh-e-junun tar tar bhi na kiya
ba-qadr-e-josh-e-junūñ taar taar bhī na kiyā
vo pairahan jise nazr-e-bahār bhī na kiyā
koī javāb hai is tarz-e-dil-rubā.ī kā
sukūñ bhī luuT liyā be-qarār bhī na kiyā
dil-e-ḳharāb sar-e-kū-e-yār le aayā
ḳhayāl-e-gardish-e-lail-o-nahār bhī na kiyā
guzar gayā yūñhī chup-chāp kārvān-e-bahār
naved-e-gul bhī na dī dil-figār bhī na kiyā
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb aur kyā karte
jigar pe zaḳhm bhī khaa.e shumār bhī na kiyā
ba-qadr-e-josh-e-junun tar tar bhi na kiya
wo pairahan jise nazr-e-bahaar bhi na kiya
koi jawab hai is tarz-e-dil-rubai ka
sukun bhi luT liya be-qarar bhi na kiya
dil-e-KHarab sar-e-ku-e-yar le aaya
KHayal-e-gardish-e-lail-o-nahaar bhi na kiya
guzar gaya yunhi chup-chap karwan-e-bahaar
nawed-e-gul bhi na di dil-figar bhi na kiya
KHayal-e-KHatir-e-ahbab aur kya karte
jigar pe zaKHm bhi khae shumar bhi na kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.