ba-qadr-e-shauq jo ab un ka aasra na raha
ba-qadr-e-shauq jo ab un kā aasrā na rahā
ji.e to jaate haiñ jiine kā hausla na rahā
usī ko ham ne manāyā usī ko chheḌeñge
ḳhafā bhī ho ke jo ham se bahut ḳhafā na rahā
ḳhayāl meñ bhī ye aa.e to saañs ruk jaa.e
ki ham se un se mohabbat kā vāsta na rahā
hameñ kuchh un se the shikve magar isī had tak
ki muskurā ke sunā aur koī gila na rahā
ġham-e-firāq zarā sī to aas rahne de
kahīñ mile to kaheñge 'razā' 'razā' na rahā
ba-qadr-e-shauq jo ab un ka aasra na raha
jie to jate hain jine ka hausla na raha
usi ko hum ne manaya usi ko chheDenge
KHafa bhi ho ke jo hum se bahut KHafa na raha
KHayal mein bhi ye aae to sans ruk jae
ki hum se un se mohabbat ka wasta na raha
hamein kuchh un se the shikwe magar isi had tak
ki muskura ke suna aur koi gila na raha
gham-e-firaq zara si to aas rahne de
kahin mile to kahenge 'raza' 'raza' na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.