ba-qadr-e-shauq maza iztirab ka na mila
ba-qadr-e-shauq mazā iztirāb kā na milā
ki dil ko dard milā bhī to lā-davā na milā
kahāñ pahuñch ke huā hai malāl-e-gumshudgī
ye sun rahā huuñ ki un ko mirā patā na milā
mazā milā thā mohabbat kī ibtidā meñ magar
phir us ke ba.ad aziyyat milī mazā na milā
bahut qarīb thī sarhadd-e-be-ḳhudī lekin
ḳhudī kī had meñ bhaTakte rahe ḳhudā na milā
jabīn-e-shauq meñ sajde the inqalāb-añgez
magar ye ḳhair huī un kā naqsh-e-pā na milā
hayāt-e-ishq ko dīdār-e-husn lāzim hai
tire baġhair kisī saañs meñ mazā na milā
talāsh-e-husn to hai himmat-āzmā 'shāhid'
mirī nigāh ko ab tak mirā patā na milā
ba-qadr-e-shauq maza iztirab ka na mila
ki dil ko dard mila bhi to la-dawa na mila
kahan pahunch ke hua hai malal-e-gumshudgi
ye sun raha hun ki un ko mera pata na mila
maza mila tha mohabbat ki ibtida mein magar
phir us ke baad aziyyat mili maza na mila
bahut qarib thi sarhadd-e-be-KHudi lekin
KHudi ki had mein bhaTakte rahe KHuda na mila
jabin-e-shauq mein sajde the inqalab-angez
magar ye KHair hui un ka naqsh-e-pa na mila
hayat-e-ishq ko didar-e-husn lazim hai
tere baghair kisi sans mein maza na mila
talash-e-husn to hai himmat-azma 'shahid'
meri nigah ko ab tak mera pata na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.