ba-qadr-e-zarf mohabbat ka karobar chale
ba-qadr-e-zarf mohabbat kā kārobār chale
maza to jab hai ki har lamha zikr-e-yār chale
tirī nigāh ke jab ahl-e-dil pe vaar chale
ḳhizāñ-nasīb chaman jānib-e-bahār chale
utar na jaa.e kahīñ tere husn kī rañgat
ki terī bazm se ab tere jāñ-nisār chale
jo aa ga.ī kabhī sar dene kī ghaḌī ai dost
ḳhushī ḳhushī tire dīvāne sū-e-dār chale
udaas dekh ke māhaul-e-mai-kada saaqī
niyāz-mand-e-vafā aaj sogvār chale
ma.āl-e-lazzat-e-shauq-e-visāl kī saugand
qarār māñgne aa.e the be-qarār chale
ḳhayāl-e-bāda-kashī aa gayā jo ai 'maikash'
adab se jānib-e-mai-ḳhāna bāda-ḳhvār chale
ba-qadr-e-zarf mohabbat ka karobar chale
maza to jab hai ki har lamha zikr-e-yar chale
teri nigah ke jab ahl-e-dil pe war chale
KHizan-nasib chaman jaanib-e-bahaar chale
utar na jae kahin tere husn ki rangat
ki teri bazm se ab tere jaan-nisar chale
jo aa gai kabhi sar dene ki ghaDi ai dost
KHushi KHushi tere diwane su-e-dar chale
udas dekh ke mahaul-e-mai-kada saqi
niyaz-mand-e-wafa aaj sogwar chale
maal-e-lazzat-e-shauq-e-visal ki saugand
qarar mangne aae the be-qarar chale
KHayal-e-baada-kashi aa gaya jo ai 'maikash'
adab se jaanib-e-mai-KHana baada-KHwar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.