ba-rang-e-shama ro-ro kar basar ki
ba-rang-e-sham.a ro-ro kar basar kī
shab-e-ġham is tarah ham ne sahar kī
batā.eñ kyā ki kis ne le liyā dil
ḳhudā jaane ki aafat thī kidhar kī
kahāñ tak sāqiyā jaur-e-taġhāful
ḳhabar le apne mast-e-be-ḳhabar kī
na rulvā.e kahīñ ḳhuuñ hasrat-e-dil
hañsī achchhī nahīñ zaḳhm-e-jigar kī
luTā pahlū meñ dil baiThe ho 'taufīq'
ḳhabar bhī hai tumheñ kuchh apne ghar kī
ba-rang-e-shama ro-ro kar basar ki
shab-e-gham is tarah hum ne sahar ki
bataen kya ki kis ne le liya dil
KHuda jaane ki aafat thi kidhar ki
kahan tak saqiya jaur-e-taghaful
KHabar le apne mast-e-be-KHabar ki
na rulwae kahin KHun hasrat-e-dil
hansi achchhi nahin zaKHm-e-jigar ki
luTa pahlu mein dil baiThe ho 'taufiq'
KHabar bhi hai tumhein kuchh apne ghar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.