ba-rañg-ebād-e-sabā gul khilā.e haiñ kyā kyā
mire hī dil ne sitam mujh pe Dhaa.e haiñ kyā kyā
ye zindagī kā safar bhī hai kuchh ajiib safar
qadam qadam pe maqāmāt aa.e haiñ kyā kyā
tarah tarah se kiyā hai tavaqquāt kā ḳhuun
mirī nigāh ne manzar dikhā.e haiñ kyā kyā
koī ġharīb ke is hausle kī vaah to de
zarā sī jaan ne sadme uThā.e haiñ kyā kyā
ajiib shai hai 'munavār' kī fikr-e-shā.ista
dil-o-dimāġh ke aivāñ sajā.e haiñ kyā kyā
ba-rang-ebaad-e-saba gul khilae hain kya kya
mere hi dil ne sitam mujh pe Dhae hain kya kya
ye zindagi ka safar bhi hai kuchh ajib safar
qadam qadam pe maqamat aae hain kya kya
tarah tarah se kiya hai tawaqquat ka KHun
meri nigah ne manzar dikhae hain kya kya
koi gharib ke is hausle ki wah to de
zara si jaan ne sadme uThae hain kya kya
ajib shai hai 'munawar' ki fikr-e-shaista
dil-o-dimagh ke aiwan sajae hain kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.