Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-roz-e-hashr mera ehtisab kya hoga

Anees Sultana

ba-roz-e-hashr mera ehtisab kya hoga

Anees Sultana

MORE BYAnees Sultana

    ba-roz-e-hashr mirā ehtisāb kyā hogā

    ki is zamīñ ke sivā aur azaab kyā hogā

    mudām fikr meñ be-aql tasalsul-e-kār

    kitāb-e-zīst ā.inda baab kyā hogā

    javāñ diloñ meñ faqat nafrateñ miltī haiñ

    ziyāda is se koī inqalāb kyā hogā

    atā kiyā mah-e-kāmil ko ishratoñ ġhurūr

    añdherī raat se baḌh kar azaab kyā hogā

    tilism-e-kaif-o-nazar mudda.ā-e-be-ḳhabarī

    tilism-e-hosh-o-ḳhirad nisāb kyā hogā

    gunāhgār nazar bhī hai dil dhaḌkan bhī

    vo pūchh leñge to merā javāb kyā hogā

    ba-faiz-e-jur.at-e-rindāna dekhnā to 'anīs'

    adā-shanāsoñ tujh par itaab kyā hogā

    ba-roz-e-hashr mera ehtisab kya hoga

    ki is zamin ke siwa aur azab kya hoga

    mudam fikr mein be-aql ka tasalsul-e-kar

    kitab-e-zist ka aainda bab kya hoga

    jawan dilon mein faqat nafraten hi milti hain

    ziyaada is se koi inqalab kya hoga

    ata kiya mah-e-kaamil ko ishraton ka ghurur

    andheri raat se baDh kar azab kya hoga

    tilism-e-kaif-o-nazar muddaa-e-be-KHabari

    tilism-e-hosh-o-KHirad ka nisab kya hoga

    gunahgar nazar bhi hai dil ki dhaDkan bhi

    wo puchh lenge to mera jawab kya hoga

    ba-faiz-e-jurat-e-rindana dekhna to 'anis'

    ada-shanason ka tujh par itab kya hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now