ba-sad aarzu jo wo aaya to ye hijab-e-ishq se haal tha
ba-sad aarzu jo wo aaya to ye hijab-e-ishq se haal tha
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
ba-sad aarzū jo vo aayā to ye hijāb-e-ishq se haal thā
ki hazāroñ dil meñ thiiñ hasrateñ aur uThānā aañkh muhāl thā
rahā shab jo ham se judā koī to kahe ye vāqi'a kyā koī
shab-e-hijr thī ki balā koī jise dekhte hī visāl thā
ruḳh-e-yār tā na paḌā nazar rahe ham alam se ye nauhagar
ki hamāre ranj-o-malāl par to malāl ko bhī malāl thā
kare kaun us se barābarī mah-o-zohra sab ko thī ham-sarī
dam-e-sub.h dekh sitamgarī ruḳh-e-mahr zarra-misāl thā
shab-e-vasl dekh ke ḳhvāb meñ maiñ paḌā thā saḳht 'azāb meñ
the hazār soch javāb meñ 'ajab us kā mujh se savāl thā
mire josh-e-ashk se bahra-var hue kul jahān ke bahr-o-bar
na barastī aaj ye chashm-e-tar to ḳhudā-na-ḳhvāsta kaal thā
jo numūd karte hī aap se lage baiThne vo shitāb se
to ye pūchhe koī hubāb se ki phulā.e apne ye gaal thā
havā maiñ bhī dāḳhil-e-kushtgāñ to 'abas tū hove hai sar-garāñ
ki mire gale kī taraf miyāñ tire āb-e-teġh kā Dhaal thā
diyā khā ke aap ne paan jo dil-e-mubtalā huā surḳh-rū
use samjhā peT kā bojh vo jo tumhāre muñh kā ugaal thā
jo marīz thā paḌā jāñ-ba-lab ḳhabar aur kuchh nahīñ us kī ab
magar itnā kahte haiñ log sab ki baḌā ye nek-ḳhisāl thā
jo chaman se duur qafas huā to maiñ aur asīr-e-havas huā
ye jo zulm ab ke baras huā yahī qahr agle bhī saal thā
nahīñ chāhtā hai ab āsmāñ ki ham aur vo huuñ ba-yak-makāñ
kahīñ aa gayā jo vo shab ko yaañ ki bulānā jis kā muhāl thā
to ye rañg chambar-e-charḳh kā nazar aa.e thā mujhe barmalā
kabhī thā siyah kabhī zard thā kabhī sabz thā kabhī laal thā
na kisī ne qadr kī 'jur.at' ab kahe she'r garche 'ajab 'ajab
jo na hoñge ham to kaheñge sab ki baḌā ye ahl-e-kamāl thā
ba-sad aarzu jo wo aaya to ye hijab-e-ishq se haal tha
ki hazaron dil mein thin hasraten aur uThana aankh muhaal tha
raha shab jo hum se juda koi to kahe ye waqi'a kya koi
shab-e-hijr thi ki bala koi jise dekhte hi visal tha
ruKH-e-yar ta na paDa nazar rahe hum alam se ye nauhagar
ki hamare ranj-o-malal par to malal ko bhi malal tha
kare kaun us se barabari mah-o-zohra sab ko thi ham-sari
dam-e-subh dekh sitamgari ruKH-e-mahr zarra-misal tha
shab-e-wasl dekh ke KHwab mein main paDa tha saKHt 'azab mein
the hazar soch jawab mein 'ajab us ka mujh se sawal tha
mere josh-e-ashk se bahra-war hue kul jahan ke bahr-o-bar
na barasti aaj ye chashm-e-tar to KHuda-na-KHwasta kal tha
jo numud karte hi aap se lage baiThne wo shitab se
to ye puchhe koi hubab se ki phulae apne ye gal tha
hawa main bhi daKHil-e-kushtgan to 'abas tu howe hai sar-garan
ki mere gale ki taraf miyan tere aab-e-tegh ka Dhaal tha
diya kha ke aap ne pan jo dil-e-mubtala hua surKH-ru
use samjha peT ka bojh wo jo tumhaare munh ka ugal tha
jo mariz tha paDa jaan-ba-lab KHabar aur kuchh nahin us ki ab
magar itna kahte hain log sab ki baDa ye nek-KHisal tha
jo chaman se dur qafas hua to main aur asir-e-hawas hua
ye jo zulm ab ke baras hua yahi qahr agle bhi sal tha
nahin chahta hai ab aasman ki hum aur wo hun ba-yak-makan
kahin aa gaya jo wo shab ko yan ki bulana jis ka muhaal tha
to ye rang chambar-e-charKH ka nazar aae tha mujhe barmala
kabhi tha siyah kabhi zard tha kabhi sabz tha kabhi lal tha
na kisi ne qadr ki 'jurat' ab kahe she'r garche 'ajab 'ajab
jo na honge hum to kahenge sab ki baDa ye ahl-e-kamal tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.