ba-sad-fareb use kya se kya dikhai de
ba-sad-fareb use kyā se kyā dikhā.ī de
ki ibtidā meñ jise intihā dikhā.ī de
kabhī to koh-e-girāñ tak nazar nahīñ aa.e
kabhī havā kā mujhe naqsh-e-pā dikhā.ī de
tamām rishtoñ kī buniyād hilne lagtī hai
jab aa.ine meñ koī dūsrā dikhā.ī de
talāsh kartī hai duniyā usī ke naqsh-e-qadam
vahī jo bhiiḌ meñ sab se judā dikhā.ī de
ye hai hamārī siyāsat ki dil paḌosī kā
hamāre dil meñ dhaḌaktā huā dikhā.ī de
falak ko tākte us ne guzār diiñ sadiyāñ
use umiid thī shāyad ḳhudā dikhā.ī de
yahāñ furāt hai gangā hai aur jamunā bhī
qadam qadam pe magar karbalā dikhā.ī de
ye shahr shahr-e-ḳhamoshāñ hai ahl-e-dānish kā
kahīñ to ek koī sar-phirā dikhā.ī de
ye vaqt kā hai taqāza ki hai fareb-e-nazar
ki beTā baap ke qad se baḌā dikhā.ī de
na jaane kaisā nasha hai ġhazal ki tāj-mahal
kabhī radīf kabhī qāfiya dikhā.ī de
ba-sad-fareb use kya se kya dikhai de
ki ibtida mein jise intiha dikhai de
kabhi to koh-e-giran tak nazar nahin aae
kabhi hawa ka mujhe naqsh-e-pa dikhai de
tamam rishton ki buniyaad hilne lagti hai
jab aaine mein koi dusra dikhai de
talash karti hai duniya usi ke naqsh-e-qadam
wahi jo bhiD mein sab se juda dikhai de
ye hai hamari siyasat ki dil paDosi ka
hamare dil mein dhaDakta hua dikhai de
falak ko takte us ne guzar din sadiyan
use umid thi shayad KHuda dikhai de
yahan furaat hai ganga hai aur jamuna bhi
qadam qadam pe magar karbala dikhai de
ye shahr shahr-e-KHamoshan hai ahl-e-danish ka
kahin to ek koi sar-phira dikhai de
ye waqt ka hai taqaza ki hai fareb-e-nazar
ki beTa bap ke qad se baDa dikhai de
na jaane kaisa nasha hai ghazal ki taj-mahal
kabhi radif kabhi qafiya dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.