ba-sad-KHulus ba-sad-ehtiram karte chalo
ba-sad-ḳhulūs ba-sad-ehtirām karte chalo
buzurg jab bhī mileñ tum salām karte chalo
adab se pyaar se aḳhlāq se mohabbat se
jo dushmanī kareñ un ko bhī raam karte chalo
dil-o-dimāġh meñ logoñ ke naqsh ho jaa.eñ
kuchh aise sher zamāne ke naam karte chalo
ḳhud apnī fikr to duniyā meñ sab hī karte haiñ
jo dūsroñ ke liye hoñ vo kaam karte chalo
dukhī diloñ ke liye ban ke ibn-e-mariyam tum
buland duniyā meñ apnā maqām karte chalo
zabāñ pe muhr lagī ho to rāh-e-ulfat meñ
nigāh-e-shauq se us ko payām karte chalo
ḳhudā kī bandagī ishq-e-rasūl se 'naġhmī'
tum apne aap par dozaḳh harām karte chalo
ba-sad-KHulus ba-sad-ehtiram karte chalo
buzurg jab bhi milen tum salam karte chalo
adab se pyar se aKHlaq se mohabbat se
jo dushmani karen un ko bhi ram karte chalo
dil-o-dimagh mein logon ke naqsh ho jaen
kuchh aise sher zamane ke nam karte chalo
KHud apni fikr to duniya mein sab hi karte hain
jo dusron ke liye hon wo kaam karte chalo
dukhi dilon ke liye ban ke ibn-e-mariyam tum
buland duniya mein apna maqam karte chalo
zaban pe muhr lagi ho to rah-e-ulfat mein
nigah-e-shauq se us ko payam karte chalo
KHuda ki bandagi ishq-e-rasul se 'naghmi'
tum apne aap par dozaKH haram karte chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.