ba-sad-KHulus ba-sad-ehtiram likh dena
ba-sad-ḳhulūs ba-sad-ehtirām likh denā
tum un ko ḳhat meñ hamārā salām likh denā
ham un kī yaad se ġhāfil nahīñ kisī lamha
hamāre dil meñ hai un kā qiyām likh denā
ham un kī yaad se hote raheñge lutf-andoz
hayāt honī hai yūñhī tamām likh denā
hamāre ba.ad bhī rakkhe hameñ zamāna yaad
hamāre hisse meñ umr-e-davām likh denā
kabhī kabhī to nigāh-e-karam zarūrī hai
koī to naama hamāre bhī naam likh denā
tumhāre naam se hotā hai āftāb tulūa
tumhāre naam se raushan hai shaam likh denā
hamāre vāste itnā karam hī kaafī hai
hamārā naam ba-sad-ehtirām likh denā
sivā tumhāre to 'mashkūr' kā nahīñ koī
ḳhulūs-e-dil se koī to payām likh denā
ba-sad-KHulus ba-sad-ehtiram likh dena
tum un ko KHat mein hamara salam likh dena
hum un ki yaad se ghafil nahin kisi lamha
hamare dil mein hai un ka qiyam likh dena
hum un ki yaad se hote rahenge lutf-andoz
hayat honi hai yunhi tamam likh dena
hamare baad bhi rakkhe hamein zamana yaad
hamare hisse mein umr-e-dawam likh dena
kabhi kabhi to nigah-e-karam zaruri hai
koi to nama hamare bhi nam likh dena
tumhaare nam se hota hai aaftab tulua
tumhaare nam se raushan hai sham likh dena
hamare waste itna karam hi kafi hai
hamara nam ba-sad-ehtiram likh dena
siwa tumhaare to 'mashkur' ka nahin koi
KHulus-e-dil se koi to payam likh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.