ba-sad shikoh ba-sad aan-ban niklegi
Interesting Fact
(December 8, 1959)
ba-sad shikoh ba-sad ān-bān niklegī
hamāre saath zamāne kī jaan niklegī
ye zindagī ke qarīne se āshkārā hai
ki apnī maut bhī azmat-nishān niklegī
mujhe yaqīn hai apnī vafā pe kuchh itnā
tirī jafā bhī mirī ham-zabān niklegī
zabān khul ga.ī merī kahīñ jo mahshar meñ
har ek harf se ik dāstān niklegī
jo zindagī kī balā thī vo Tal ga.ī sar se
kise ḳhabar thī ajal mehrbān niklegī
jahāñ kareñge kabhī qasd sar uThāne kā
zamīñ bhī apne liye āsmān niklegī
zarūr hogā sabab koī bad-gumānī kā
zarūriyāt koī darmiyān niklegī
jahāñ zabāñ ko milegā na izn-e-goyā.ī
vahāñ hamārī nazar tarjumān niklegī
gudāz-e-ishq hai kis meñ havas parast hai kaun
nigāh-e-dost pa.e-imtihān niklegī
kisī kī sūrat--e-ma.asūm de ga.ī dhokā
ḳhayāl thā ki bahut be-zabān niklegī
vo dil jo tañg ba-zāhir hai is qadar hamdam
usī meñ vus.at-e-kaun-o-makān niklegī
sadā-bahār gulsitāñ hai shā.irī apnī
ḳhudā rakhe ye hamesha javān niklegī
ye mutma.in na kabhī ho sakegī ai 'tālib'
nigāh-e-dost bahut bad-gumān niklegī
ba-sad shikoh ba-sad aan-ban niklegi
hamare sath zamane ki jaan niklegi
ye zindagi ke qarine se aashkara hai
ki apni maut bhi azmat-nishan niklegi
mujhe yaqin hai apni wafa pe kuchh itna
teri jafa bhi meri ham-zaban niklegi
zaban khul gai meri kahin jo mahshar mein
har ek harf se ek dastan niklegi
jo zindagi ki bala thi wo Tal gai sar se
kise KHabar thi ajal mehrban niklegi
jahan karenge kabhi qasd sar uThane ka
zamin bhi apne liye aasman niklegi
zarur hoga sabab koi bad-gumani ka
zaruriyat koi darmiyan niklegi
jahan zaban ko milega na izn-e-goyai
wahan hamari nazar tarjuman niklegi
gudaz-e-ishq hai kis mein hawas parast hai kaun
nigah-e-dost pae-imtihan niklegi
kisi ki surat--e-masum de gai dhoka
KHayal tha ki bahut be-zaban niklegi
wo dil jo tang ba-zahir hai is qadar hamdam
usi mein wusat-e-kaun-o-makan niklegi
sada-bahaar gulsitan hai shairi apni
KHuda rakhe ye hamesha jawan niklegi
ye mutmain na kabhi ho sakegi ai 'talib'
nigah-e-dost bahut bad-guman niklegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.