ba-tarf-e-mushtaq gah-gahe tujhe munasib guzar kiya kar
ba-tarf-e-mushtaq gah-gahe tujhe munasib guzar kiya kar
Qasim Ali Khan Afridi
MORE BYQasim Ali Khan Afridi
ba-tarf-e-mushtāq gāh-gāhe tujhe munāsib guzar kiyā kar
jale hai dil kī bhī āh-e-sozāñ se kaj-kulāhā hazar kiyā kar
jo ghar se bāhar na deve ruḳhsat hayā agarche ba-sair-e-gulshan
kabhī to rauzan se bar-lab-e-bām apne aa kar nazar kiyā kar
ba-talkh dushnām be-muravvat muzā.eqa to nahīñ hai is meñ
do lab se apne hamārī qismat kī aisī rozī shakar kiyā kar
na qadr hūr-o-parī kī hargiz samā.e āñkhoñ meñ tere aage
tujhe hai lāzim kabhī to pursish ze-hāl-e-ḳhūnīñ-jigar kiyā kar
galī meñ terī nahīñ ijāzat hai shab kī aane kī mujh ko lekin
raqīb-o-ġhammaz apne kūche se be-muravvat badar kiyā kar
na chain din ko na ḳhvāb shab ko sabab se hijrat ke terī mujh ko
ba-nāz-o-tamkīn-o-sadqa-e-husn ek bosa nazar kiyā kar
ba-āh-o-zārī fuġhān naala se apne yaaro maiñ roz kahtā
kabhī sitamgar ke jā ke dil meñ are ni-bhāge asar kiyā kar
kahā thā nāseh ne ishq-bāzī bahut kaThin hai na honā āshiq
ki qurb majlis se un butoñ kī gar aql rakhtā ḳhatar kiyā kar
gar 'āfrīdī' ke ārzū-dil hai vasl is kā to vājib aayā
mile na jab tak galī meñ us ke to ḳhaak miTTī basar kiyā kar
ba-tarf-e-mushtaq gah-gahe tujhe munasib guzar kiya kar
jale hai dil ki bhi aah-e-sozan se kaj-kulaha hazar kiya kar
jo ghar se bahar na dewe ruKHsat haya agarche ba-sair-e-gulshan
kabhi to rauzan se bar-lab-e-baam apne aa kar nazar kiya kar
ba-talkh dushnam be-murawwat muzaeqa to nahin hai is mein
do lab se apne hamari qismat ki aisi rozi shakar kiya kar
na qadr hur-o-pari ki hargiz samae aankhon mein tere aage
tujhe hai lazim kabhi to pursish ze-haal-e-KHunin-jigar kiya kar
gali mein teri nahin ijazat hai shab ki aane ki mujh ko lekin
raqib-o-ghammaz apne kuche se be-murawwat badar kiya kar
na chain din ko na KHwab shab ko sabab se hijrat ke teri mujh ko
ba-naz-o-tamkin-o-sadqa-e-husn ek bosa nazar kiya kar
ba-ah-o-zari fughan nala se apne yaro main roz kahta
kabhi sitamgar ke ja ke dil mein are ni-bhage asar kiya kar
kaha tha naseh ne ishq-bazi bahut kaThin hai na hona aashiq
ki qurb majlis se un buton ki gar aql rakhta KHatar kiya kar
gar 'afridi' ke aarzu-dil hai wasl is ka to wajib aaya
mile na jab tak gali mein us ke to KHak miTTi basar kiya kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.