ba-waqt-e-marg gham-e-zindagi to kya hoga
ba-vaqt-e-marg ġham-e-zindagī to kyā hogā
nikal ga.ī jo hamārī hañsī to kyā hogā
huī jo un se mulāqāt bhī to kyā hogā
agar na ham se huī baat hī to kyā hogā
añdhere jā ke kahāñ apnā muñh chhupā.eñge
hamāre ghar meñ huī raushnī to kyā hogā
hamāre vāste dil kī lagī bajā lekin
vo kar rahe hoñ agar dil-lagī to kyā hogā
ye maanā ham ne ki shabnam tū ro.egī shab-bhar
sahar ko gul ko na aa.ī hañsī to kyā hogā
karūñgā dil ko jalā kar maiñ raushnī kab tak
na shām-e-ġham kī sahar hī huī to kyā hogā
kisī kī tirchhī nazar baat to hai mā'mūlī
ye phāñs dil meñ hī aTkī rahī to kyā hogā
khileñgī fasl-e-bahārāñ meñ har taraf kaliyāñ
magar ga.ī na mirī bekalī to kyā hogā
jab un ko dekhte hī dil dhaḌakne lagtā hai
jo un se milnā hī Thahrā kabhī to kyā hogā
abhī se husn hamārī anā se nālāñ hai
jatā.ī 'ishq kī jab bartarī to kyā hogā
'amar' abhī se falak par dimāġh hai apnā
milī jo ham ko kahīñ bartarī to kyā hogā
ba-waqt-e-marg gham-e-zindagi to kya hoga
nikal gai jo hamari hansi to kya hoga
hui jo un se mulaqat bhi to kya hoga
agar na hum se hui baat hi to kya hoga
andhere ja ke kahan apna munh chhupaenge
hamare ghar mein hui raushni to kya hoga
hamare waste dil ki lagi baja lekin
wo kar rahe hon agar dil-lagi to kya hoga
ye mana hum ne ki shabnam tu roegi shab-bhar
sahar ko gul ko na aai hansi to kya hoga
karunga dil ko jala kar main raushni kab tak
na sham-e-gham ki sahar hi hui to kya hoga
kisi ki tirchhi nazar baat to hai ma'muli
ye phans dil mein hi aTki rahi to kya hoga
khilengi fasl-e-bahaaran mein har taraf kaliyan
magar gai na meri bekali to kya hoga
jab un ko dekhte hi dil dhaDakne lagta hai
jo un se milna hi Thahra kabhi to kya hoga
abhi se husn hamari ana se nalan hai
jatai 'ishq ki jab bartari to kya hoga
'amar' abhi se falak par dimagh hai apna
mili jo hum ko kahin bartari to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.