ba-zahir anjuman-araiyan hain
ba-zāhir anjuman-ārā.iyāñ haiñ
vahī ġham hai vahī tanhā.iyāñ haiñ
bulandī par sañbhal kar paañv rakhnā
bahut gahrī yahāñ par khā.iyāñ haiñ
kahāñ gum ho gayā bachpan hamārā
vahī jhūle vahī amrā.iyāñ haiñ
tirī yādoñ kī maddham raushnī hai
sukūt-e-shām hai tanhā.iyāñ haiñ
'zamīr' un se kaho ki lauT jaa.eñ
yahāñ par jā-ba-jā rusvā.iyāñ haiñ
ba-zahir anjuman-araiyan hain
wahi gham hai wahi tanhaiyan hain
bulandi par sanbhal kar panw rakhna
bahut gahri yahan par khaiyan hain
kahan gum ho gaya bachpan hamara
wahi jhule wahi amraiyan hain
teri yaadon ki maddham raushni hai
sukut-e-sham hai tanhaiyan hain
'zamir' un se kaho ki lauT jaen
yahan par ja-ba-ja ruswaiyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.