ba-zahir us ka qad uncha bahut hai
ba-zāhir us kā qad ūñchā bahut hai
magar andar se vo chhoTā bahut hai
jahannum kī zarūrat kyā hai āḳhir
azāboñ ko to ye duniyā bahut hai
baḌe iḳhlās se miltā hai mujh se
mujhe us shaḳhs se ḳhadsha bahut hai
zarā sā chhāñv thoḌā sā ujālā
hamāre vāste itnā bahut hai
havas ko kam haiñ asbāb-e-do-ālam
qanā.at ke liye thoḌā bahut hai
tire ash.ār jaise bhī haiñ 'rāhī'
magar lahja tirā tīkhā bahut hai
ba-zahir us ka qad uncha bahut hai
magar andar se wo chhoTa bahut hai
jahannum ki zarurat kya hai aaKHir
azabon ko to ye duniya bahut hai
baDe iKHlas se milta hai mujh se
mujhe us shaKHs se KHadsha bahut hai
zara sa chhanw thoDa sa ujala
hamare waste itna bahut hai
hawas ko kam hain asbab-e-do-alam
qanaat ke liye thoDa bahut hai
tere ashaar jaise bhi hain 'rahi'
magar lahja tera tikha bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.