ba-zat-e-KHud ab tu na taklif farma
ba-zāt-e-ḳhud ab tū na taklīf farmā
tasavvur hī rahne de tashrīf-farmā
mirī hastī-e-ārifāna se matlab
tū apne tajāhul kī tārīf farmā
agar shiddat-e-dard-e-dil dekhnī hai
tavajjoh meñ kuchh aur taḳhfīf farmā
abas mahfil-e-nāz tartīb dī hai
kisī qalb-e-muztar kī tālīf farmā
sahīfa mohabbat kā kahte haiñ dil ko
nigāh-e-ġhazab se na tahrīf farmā
purānā huā dāġh-e-jurm-e-mohabbat
koī taaza ilzām tasrīf farmā
tire muñh se ahvāl-e-'haidar' kī takzīb
vo darvesh hai us kī tārīf farmā
ba-zat-e-KHud ab tu na taklif farma
tasawwur hi rahne de tashrif-farma
meri hasti-e-arifana se matlab
tu apne tajahul ki tarif farma
agar shiddat-e-dard-e-dil dekhni hai
tawajjoh mein kuchh aur taKHfif farma
abas mahfil-e-naz tartib di hai
kisi qalb-e-muztar ki talif farma
sahifa mohabbat ka kahte hain dil ko
nigah-e-ghazab se na tahrif farma
purana hua dagh-e-jurm-e-mohabbat
koi taza ilzam tasrif farma
tere munh se ahwal-e-'haidar' ki takzib
wo darwesh hai us ki tarif farma
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 337)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.