baad aadam ke banti saza hi nahin
baa'd aadam ke bantī sazā hī nahīñ
jab huī ham se koī ḳhatā hī nahīñ
ho gayā maiñ bhale rā.egāñ hijr meñ
par mujhe tum se koī gila hī nahīñ
jis ne chāhā hameñ ham use mil ga.e
jis ko chāhā vo ham ko milā hī nahīñ
miT ga.e zaḳhm bhī par laboñ kā nishāñ
ham miTāte rahe vo miTā hī nahīñ
bujh ga.e chāñd sūraj sitāre magar
ik diyā hai jo ham se bujhā hī nahīñ
ba'd aadam ke banti saza hi nahin
jab hui hum se koi KHata hi nahin
ho gaya main bhale raegan hijr mein
par mujhe tum se koi gila hi nahin
jis ne chaha hamein hum use mil gae
jis ko chaha wo hum ko mila hi nahin
miT gae zaKHm bhi par labon ka nishan
hum miTate rahe wo miTa hi nahin
bujh gae chand suraj sitare magar
ek diya hai jo hum se bujha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.