baad muddat ke mujhse mila aaina
baa'd muddat ke mujh se milā aa.ina
dekh kar mujh ko hairāñ huā aa.ina
us ne mujh se ta'alluq kiyā munqata’
jis kisī ko bhī maiñ ne diyā aa.ina
jā-ba-jā 'aks merā thā bikhrā huā
haath se jab mire gir gayā aa.ina
us ko banñe-sañvarne se fursat nahīñ
haath us ke hai jab se lagā aa.ina
roz dekhūñ maiñ chehra ḳharāshoñ bharā
roz dene lagā hai sazā aa.ina
har koī mujh se nazreñ churāne lagā
jab se 'afzal' maiñ jag meñ banā aa.ina
ba'd muddat ke mujh se mila aaina
dekh kar mujh ko hairan hua aaina
us ne mujh se ta'alluq kiya munqata’
jis kisi ko bhi main ne diya aaina
ja-ba-ja 'aks mera tha bikhra hua
hath se jab mere gir gaya aaina
us ko banne-sanwarne se fursat nahin
hath us ke hai jab se laga aaina
roz dekhun main chehra KHarashon bhara
roz dene laga hai saza aaina
har koi mujh se nazren churane laga
jab se 'afzal' main jag mein bana aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.