ba-KHabar tha ek nazar mein do-jahan le jaega
bā-ḳhabar thā ik nazar meñ do-jahāñ le jā.egā
merī jaañ ban kar vo ik din merī jaañ le jā.egā
āḳhrī hichkī se pahle chāra-gar se pūchh luuñ
jo nazar aatā nahīñ rishta kahāñ le jā.egā
mai-kada dair-o-haram yā koī divānoñ ki bazm
tujh se ye bichhḌā huā lamha kahāñ le jā.egā
vo jo pichhle saal sab khetoñ ko sonā de gayā
ab ke vo tūfān kis kis kā makāñ le jā.egā
vo chalā jā.egā mujh se kar ke iqrār-e-vafā
toḌ jā.egā safīna bādbāñ le jā.egā
ishq meñ us ne jalānā hī nahīñ sīkhā kabhī
aag de jā.egā mujh ko ḳhud dhuāñ le jā.egā
ba-KHabar tha ek nazar mein do-jahan le jaega
meri jaan ban kar wo ek din meri jaan le jaega
aaKHri hichki se pahle chaara-gar se puchh lun
jo nazar aata nahin rishta kahan le jaega
mai-kada dair-o-haram ya koi diwanon ki bazm
tujh se ye bichhDa hua lamha kahan le jaega
wo jo pichhle sal sab kheton ko sona de gaya
ab ke wo tufan kis kis ka makan le jaega
wo chala jaega mujh se kar ke iqrar-e-wafa
toD jaega safina baadban le jaega
ishq mein us ne jalana hi nahin sikha kabhi
aag de jaega mujh ko KHud dhuan le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.