bā-ḳhudā aap bhī nahīñ haiñ jī
pārsā aap bhī nahīñ haiñ jī
ek hī baar haiñ agar ham to
bārhā aap bhī nahīñ haiñ jī
shahr saarā agar rukāvaT hai
rāsta aap bhī nahīñ haiñ jī
apnī aadat ke haath haiñ majbūr
be-vafā aap bhī nahīñ haiñ jī
ham gunahgār haiñ to phir kyā hai
pārsā aap bhī nahīñ haiñ jī
aadmī haiñ hameñ ye hai ehsās
aur ḳhudā aap bhī nahīñ haiñ jī
ba-KHuda aap bhi nahin hain ji
parsa aap bhi nahin hain ji
ek hi bar hain agar hum to
barha aap bhi nahin hain ji
shahr sara agar rukawaT hai
rasta aap bhi nahin hain ji
apni aadat ke hath hain majbur
be-wafa aap bhi nahin hain ji
hum gunahgar hain to phir kya hai
parsa aap bhi nahin hain ji
aadmi hain hamein ye hai ehsas
aur KHuda aap bhi nahin hain ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.