Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-wafa hain ye bahut pyare dulare aansu

Mohan Baiguwal

ba-wafa hain ye bahut pyare dulare aansu

Mohan Baiguwal

MORE BYMohan Baiguwal

    bā-vafā haiñ ye bahut pyāre dulāre aañsū

    saath rahte haiñ ġhamoñ meñ bhī hamāre aañsū

    ban ke chamke ye sadā chāñd sitāre aañsū

    pyāre lagte haiñ kabhī ḳhuub tumhāre aañsū

    koī na koī inheñ poñchhne aa jaatā hai

    DhūñDh laate haiñ kahīñ se ye sahāre aañsū

    ik kahānī maiñ sunātā huuñ tumheñ ai logo

    ik zamāna thā ki lagte the dulāre aañsū

    duur jaane kare jab bahāna ham se

    tab tirī palkoñ pe lagte haiñ sharāre aañsū

    gar samajh paao to samjho zarā in bhāshā

    paas aane ke bhī karte haiñ ishāre aañsū

    ba-wafa hain ye bahut pyare dulare aansu

    sath rahte hain ghamon mein bhi hamare aansu

    ban ke chamke ye sada chand sitare aansu

    pyare lagte hain kabhi KHub tumhaare aansu

    koi na koi inhen ponchhne aa jata hai

    DhunDh late hain kahin se ye sahaare aansu

    ek kahani main sunata hun tumhein ai logo

    ek zamana tha ki lagte the dulare aansu

    dur jaane ka kare jab tu bahana hum se

    tab teri palkon pe lagte hain sharare aansu

    gar samajh pao to samjho zara in ki bhasha

    pas aane ke bhi karte hain ishaare aansu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now