ba-wafa tariKH ke auraq mein mane gae
bā-vafā tārīḳh ke aurāq meñ maane ga.e
jin alam-dāroñ ke dariyāoñ pe kaT shāne ga.e
ham to apne the magar rāñda ga.e the ishq meñ
un se milne ke liye is baar begāne ga.e
nāsehān-e-shahr ab us ke taraf-dāroñ meñ haiñ
jo yahāñ se us parī-paikar ko samjhāne ga.e
shaiḳh sāhib jānib-e-ka.aba ga.e the zo'm se
ham subū-kash sub.h-e-sādiq uTh ke mai-ḳhāne ga.e
ahl-e-dil phir bhī na baaz aa.e mohabbat se kabhī
anginat is āshiqī meñ jaañ se dīvāne ga.e
kūcha-e-jānāñ meñ sab ke lab pe merā naam thā
us galī meñ mujh se pahle mere afsāne ga.e
har koī gum ho gayā nākāmiyoñ ke dasht meñ
ham magar 'tanhā' jahāñ meñ fan se pahchāne ga.e
ba-wafa tariKH ke auraq mein mane gae
jin alam-daron ke dariyaon pe kaT shane gae
hum to apne the magar randa gae the ishq mein
un se milne ke liye is bar begane gae
nasehan-e-shahr ab us ke taraf-daron mein hain
jo yahan se us pari-paikar ko samjhane gae
shaiKH sahib jaanib-e-kaba gae the zo'm se
hum subu-kash subh-e-sadiq uTh ke mai-KHane gae
ahl-e-dil phir bhi na baz aae mohabbat se kabhi
anginat is aashiqi mein jaan se diwane gae
kucha-e-jaanan mein sab ke lab pe mera nam tha
us gali mein mujh se pahle mere afsane gae
har koi gum ho gaya nakaamiyon ke dasht mein
hum magar 'tanha' jahan mein fan se pahchane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.