ba-waqar lahje mein pur-asar kaha jae
ba-waqar lahje mein pur-asar kaha jae
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
bā-vaqār lahje meñ pur-asar kahā jaa.e
dil kā haal kuchh bhī ho muḳhtasar kahā jaa.e
vus.at-e-taḳhayyul ko bāl-o-par kahā jaa.e
shauq kī bulandī ko bām-o-dar kahā jaa.e
kyoñ na ham badal Dāleñ kohna istelāhoñ ko
kyoñ na aaj qātil ko chārāgar kahā jaa.e
zindagī kī rāhoñ meñ kaun saath detā hai
kis ko is masāfat meñ ham-safar kahā jaa.e
jis taraf se vo guzreñ bas vo rahguzar Thahre
aam rāste ko kyoñ rahguzar kahā jaa.e
chāhe jis tarah kahiye ḳhatm ho nahīñ saktā
ishq vo fasāna hai umr bhar kahā jaa.e
vo chaman ho yā sahrā donoñ ek jaise haiñ
ik ajiib uljhan hai kis ko ghar kahā jaa.e
dil kī raushnī ko log kyoñ sahar nahīñ kahte
vaqt ke ujāle ko kyoñ sahar kahā jaa.e
gumrahī kī manzil meñ kis ko aaj ai 'jauhar'
rāhzan kahā jaa.e rāhbar kahā jaa.e
ba-waqar lahje mein pur-asar kaha jae
dil ka haal kuchh bhi ho muKHtasar kaha jae
wusat-e-taKHayyul ko baal-o-par kaha jae
shauq ki bulandi ko baam-o-dar kaha jae
kyon na hum badal Dalen kohna istelahon ko
kyon na aaj qatil ko chaaragar kaha jae
zindagi ki rahon mein kaun sath deta hai
kis ko is masafat mein ham-safar kaha jae
jis taraf se wo guzren bas wo rahguzar Thahre
aam raste ko kyon rahguzar kaha jae
chahe jis tarah kahiye KHatm ho nahin sakta
ishq wo fasana hai umr bhar kaha jae
wo chaman ho ya sahra donon ek jaise hain
ek ajib uljhan hai kis ko ghar kaha jae
dil ki raushni ko log kyon sahar nahin kahte
waqt ke ujale ko kyon sahar kaha jae
gumrahi ki manzil mein kis ko aaj ai 'jauhar'
rahzan kaha jae rahbar kaha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.