bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai
bāb-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai
tahniyat ai dil ki ab dīvār dar hone ko hai
khol deñ zanjīr-e-dar aur hauz ko ḳhālī kareñ
zindagī ke baaġh meñ ab sah-pahar hone ko hai
maut kī aahaT sunā.ī de rahī hai dil meñ kyuuñ
kyā mohabbat se bahut ḳhālī ye ghar hone ko hai
gard-e-rah ban kar koī hāsil safar kā ho gayā
ḳhaak meñ mil kar koī la.al-o-guhar hone ko hai
ik chamak sī to nazar aa.ī hai apnī ḳhaak meñ
mujh pe bhī shāyad tavajjoh kī nazar hone ko hai
gum-shuda bastī musāfir lauT kar aate nahīñ
mo.ajaza aisā magar bār-e-digar hone ko hai
raunaq-e-bāzār-o-mahfil kam nahīñ hai aaj bhī
sāneha is shahr meñ koī magar hone ko hai
ghar kā saarā rāsta is sarḳhushī meñ kaT gayā
is se agle moḌ koī ham-safar hone ko hai
bab-e-hairat se mujhe izn-e-safar hone ko hai
tahniyat ai dil ki ab diwar dar hone ko hai
khol den zanjir-e-dar aur hauz ko KHali karen
zindagi ke bagh mein ab sah-pahar hone ko hai
maut ki aahaT sunai de rahi hai dil mein kyun
kya mohabbat se bahut KHali ye ghar hone ko hai
gard-e-rah ban kar koi hasil safar ka ho gaya
KHak mein mil kar koi lal-o-guhar hone ko hai
ek chamak si to nazar aai hai apni KHak mein
mujh pe bhi shayad tawajjoh ki nazar hone ko hai
gum-shuda basti musafir lauT kar aate nahin
moajaza aisa magar bar-e-digar hone ko hai
raunaq-e-bazar-o-mahfil kam nahin hai aaj bhi
saneha is shahr mein koi magar hone ko hai
ghar ka sara rasta is sarKHushi mein kaT gaya
is se agle moD koi ham-safar hone ko hai
- Book : Mah-e-tamam (Pg. 10)
- Author : Parveen Shakir
- Publication : Educational Publishing House (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.