bab-e-qafas khulne ko khula hai
bāb-e-qafas khulne ko khulā hai
bāhar bhī to daam bichhā hai
us ke sivā sab bhuul gayā huuñ
jab se vo mire dil meñ basā hai
baḌhne lagī hai dil kī dhaḌkan
shāyad us ne yaad kiyā hai
qāfile vaalo ḳhair manāo
rahzan hī jab rāh-numā hai
sāhil sāhil bhī kyā chalnā
maujoñ pe safīna Daal diyā hai
apnī marzī apnī razā kyā
sab se baḌh kar us kī razā hai
aaj ke insāñ kī mat pūchho
jaise ḳhudā se bhī ye baḌā hai
bab-e-qafas khulne ko khula hai
bahar bhi to dam bichha hai
us ke siwa sab bhul gaya hun
jab se wo mere dil mein basa hai
baDhne lagi hai dil ki dhaDkan
shayad us ne yaad kiya hai
qafile walo KHair manao
rahzan hi jab rah-numa hai
sahil sahil bhi kya chalna
maujon pe safina Dal diya hai
apni marzi apni raza kya
sab se baDh kar us ki raza hai
aaj ke insan ki mat puchho
jaise KHuda se bhi ye baDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.