Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bab-e-ulfat ko agar kholenge

Syed Wajih Ul Hassan Sherazi

bab-e-ulfat ko agar kholenge

Syed Wajih Ul Hassan Sherazi

MORE BYSyed Wajih Ul Hassan Sherazi

    bāb-e-ulfat ko agar kholeñge

    to yahī ahl-e-nazar kholeñge

    qais ke saath guzāreñge din

    raat aa.egī to ghar kholeñge

    parvarish 'ishq udhar pā.egā

    ahl-e-dil aañkh jidhar kholeñge

    ye mohabbat hai hameñ lūTegī

    dar mohabbat magar kholeñge

    un ko pāzeb milegī terī

    jo mirā raḳht-e-safar kholeñge

    bab-e-ulfat ko agar kholenge

    to yahi ahl-e-nazar kholenge

    qais ke sath guzarenge din

    raat aaegi to ghar kholenge

    parwarish 'ishq udhar paega

    ahl-e-dil aankh jidhar kholenge

    ye mohabbat hai hamein luTegi

    dar mohabbat ka magar kholenge

    un ko pazeb milegi teri

    jo mera raKHt-e-safar kholenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now