bab mein juD raha hai bab ek aur
baab meñ juḌ rahā hai baab ik aur
likhī jā.egī ab kitāb ik aur
ulTe-palTe se manzaroñ kā hujūm
ḳhvāb meñ dikh rahā hai ḳhvāb ik aur
dil ko bas jur.at-e-suḳhan denā
ḳhvāh utartī rahe naqāb ik aur
ḳhatm hogā ye silsila kis din
ik savāl aur phir javāb ik aur
manfī-o-jam.a zarb aur taqsīm
in se uupar bhī hai hisāb ik aur
rone vaale bhī zindagī jī paa.eñ
un ke hāthoñ meñ do kitāb ik aur
un kī takmīl kitnī mushkil hai
ḳhvāb meñ ḳhvāb us meñ ḳhvāb ik aur
'zāhid' us ko ḳhudā to maan liyā
jī meñ hai duuñ use ḳhitāb ik aur
bab mein juD raha hai bab ek aur
likhi jaegi ab kitab ek aur
ulTe-palTe se manzaron ka hujum
KHwab mein dikh raha hai KHwab ek aur
dil ko bas jurat-e-suKHan dena
KHwah utarti rahe naqab ek aur
KHatm hoga ye silsila kis din
ek sawal aur phir jawab ek aur
manfi-o-jama zarb aur taqsim
in se upar bhi hai hisab ek aur
rone wale bhi zindagi ji paen
un ke hathon mein do kitab ek aur
un ki takmil kitni mushkil hai
KHwab mein KHwab us mein KHwab ek aur
'zahid' us ko KHuda to man liya
ji mein hai dun use KHitab ek aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.