Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baad-e-makin makan ka gar baam raha to kya hua

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

baad-e-makin makan ka gar baam raha to kya hua

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

MORE BYGulam Yahya Huzur Azimabadi

    ba.ad-e-makīñ makāñ gar baam rahā to kyā huā

    aap jab rahe nahīñ naam rahā to kyā huā

    chashm se kyā hai fā.eda dil meñ na ho jo zauq-e-dīd

    shīshe meñ mai na jab rahe jaam rahā to kyā huā

    ham se ġharīb bhī bhalā mujre ke bāryāb hoñ

    izn terā kabhī kabhī aam rahā to kyā huā

    ġhair-e-vafā meñ puḳhta haiñ yuuñ sahī pa mujh bhī

    ek tirī janāb meñ ḳhaam rahā to kyā huā

    ram to tirā sabhoñ se hai ai but-e-man hiran bhalā

    apne 'huzūr' se kabhī raam rahā to kyā huā

    baad-e-makin makan ka gar baam raha to kya hua

    aap hi jab rahe nahin nam raha to kya hua

    chashm se kya hai faeda dil mein na ho jo zauq-e-did

    shishe mein mai na jab rahe jam raha to kya hua

    hum se gharib bhi bhala mujre ke baryab hon

    izn tera kabhi kabhi aam raha to kya hua

    ghair-e-wafa mein puKHta hain yun hi sahi pa mujh sa bhi

    ek teri janab mein KHam raha to kya hua

    ram to tera sabhon se hai ai but-e-man hiran bhala

    apne 'huzur' se kabhi ram raha to kya hua

    Source :
    • Dewan-e-Huzoor (E-Book)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now