baad-e-nisyan hai mera nam bata do koi
bād-e-nisyāñ hai mirā naam batā do koī
DhūñDh kar laao mujhe merā patā do koī
hādisa hai ki sitāroñ se mujhe vahshat hai
mujh ko is dasht ke ādāb sikhā do koī
vo añdherā hai ki tanhā.ī se hol aatā hai
saare bichhḌe hue logoñ ko sadā do koī
ek muddat se charāġhoñ kī tarah jaltī haiñ
in tarastī huī āñkhoñ ko bujhā do koī
mauj-dar-mauj marī zindagī girdāb meñ hai
is safīne ko kināre se lagā do koī
baad-e-nisyan hai mera nam bata do koi
DhunDh kar lao mujhe mera pata do koi
hadisa hai ki sitaron se mujhe wahshat hai
mujh ko is dasht ke aadab sikha do koi
wo andhera hai ki tanhai se hol aata hai
sare bichhDe hue logon ko sada do koi
ek muddat se charaghon ki tarah jalti hain
in tarasti hui aankhon ko bujha do koi
mauj-dar-mauj mari zindagi girdab mein hai
is safine ko kinare se laga do koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.