Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baad-e-sahra ko rah-e-shahr pe Dala kis ne

Ali Akbar Natiq

baad-e-sahra ko rah-e-shahr pe Dala kis ne

Ali Akbar Natiq

MORE BYAli Akbar Natiq

    bād-e-sahrā ko rah-e-shahr pe Daalā kis ne

    tār-e-vahshat ko garebāñ se nikālā kis ne

    muḳhtasar baat thii, phailī kyuuñ sabā mānind

    dard-mandoñ fasāna thaa, uchhālā kis ne

    bastiyoñ vaale to ḳhud oḌh ke patte, so.e

    dil-e-āvāra tujhe raat sambhālā kis ne

    aag phūloñ talab meñ thii, havāoñ pe rukī

    nazr-e-jāñ kis huii, raah se Taalā kis ne

    kāñch raah pe ik rasm-e-safar thī mujh se

    ba.ad mere bunā har gaam pe jaalā kis ne

    baad-e-sahra ko rah-e-shahr pe Dala kis ne

    tar-e-wahshat ko gareban se nikala kis ne

    muKHtasar baat thi, phaili kyun saba ki manind

    dard-mandon ka fasana tha, uchhaala kis ne

    bastiyon wale to KHud oDh ke patte, soe

    dil-e-awara tujhe raat sambhaala kis ne

    aag phulon ki talab mein thi, hawaon pe ruki

    nazr-e-jaan kis ki hui, rah se Tala kis ne

    kanch ki rah pe ek rasm-e-safar thi mujh se

    baad mere buna har gam pe jala kis ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now