baad-e-sarsar hai nasim-e-gulsitan mere liye
baad-e-sarsar hai nasim-e-gulsitan mere liye
Hakeem Mohammad Husain Ahqar
MORE BYHakeem Mohammad Husain Ahqar
bād-e-sarsar hai nasīm-e-gulsitāñ mere liye
ban gayā kunj-e-qafas ab āshiyāñ mere liye
zāhido tum ko mubārak ḳhāna-ka.aba rahe
kaafī hai sajde ko sañg-e-āstāñ mere liye
sāġhar-o-mīnā subū-o-jām kā ab zikr kyā
dushman-e-jāñ ho gayā pīr-e-muġhāñ mere liye
vaah re gardūn-e-gardāñ terā shauq-e-intizām
ho ga.ī hai zindagī bār-e-garāñ mere liye
dard-e-dil kahne ko aayā huuñ sarāpā dard huuñ
ho 'atā kuchh vaqt bahr-e-dāstāñ mere liye
hasrat-e-sozāñ se taktī hai use barq-e-tapāñ
shāḳh-e-gulshan par banā jo āshiyāñ mere liye
baad-e-sarsar hai nasim-e-gulsitan mere liye
ban gaya kunj-e-qafas ab aashiyan mere liye
zahido tum ko mubarak KHana-kaba rahe
kafi hai sajde ko sang-e-astan mere liye
saghar-o-mina subu-o-jam ka ab zikr kya
dushman-e-jaan ho gaya pir-e-mughan mere liye
wah re gardun-e-gardan tera shauq-e-intizam
ho gai hai zindagi bar-e-garan mere liye
dard-e-dil kahne ko aaya hun sarapa dard hun
ho 'ata kuchh waqt bahr-e-dastan mere liye
hasrat-e-sozan se takti hai use barq-e-tapan
shaKH-e-gulshan par bana jo aashiyan mere liye
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 100)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.