baad muddat hi sahi din ye suhane aae
baad muddat hī sahī din ye suhāne aa.e
aaj kī shab vo mujhe jaam pilāne aa.e
pī ke mad.hosh banā baiThā tirī yādoñ meñ
so.e ḳhvāboñ ko mire phir se jagāne aa.e
dekho in chalte hue vaqt ke tūfānoñ ko
ḳhauf furqat kā hameñ yaar dikhāne aa.e
ham haiñ ġhaddār to pāband-e-vafā tum ho kyā
phir bhī ham rasm-e-vafā tum se nibhāne aa.e
ik tirī yaad hai barsāt hai tanhā.ī hai
kaash ham se hī tū milne ke bahāne aa.e
baad muddat hi sahi din ye suhane aae
aaj ki shab wo mujhe jam pilane aae
pi ke madhosh bana baiTha teri yaadon mein
soe KHwabon ko mere phir se jagane aae
dekho in chalte hue waqt ke tufanon ko
KHauf furqat ka hamein yar dikhane aae
hum hain ghaddar to paband-e-wafa tum ho kya
phir bhi hum rasm-e-wafa tum se nibhane aae
ek teri yaad hai barsat hai tanhai hai
kash hum se hi tu milne ke bahane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.