baad muddat ke hijr sā denā
mere hāthoñ meñ aa.ina denā
achchhā lagtā hai is zamāne ko
baad marne ke but banā denā
jī ye tauhīn hai charāġhoñ kī
raat baaqī ho aur bujhā denā
canvas par bahār utregī
aap kuchh titliyāñ banā denā
mashvara hai ki ham jiye jaa.eñ
kitnā āsāñ hai mashvara denā
zindagī 'najm' ḳhvāb jaisī hai
lutf aane lage jagā denā
baad muddat ke hijr sa dena
mere hathon mein aaina dena
achchha lagta hai is zamane ko
baad marne ke but bana dena
ji ye tauhin hai charaghon ki
raat baqi ho aur bujha dena
canwas par bahaar utregi
aap kuchh titliyan bana dena
mashwara hai ki hum jiye jaen
kitna aasan hai mashwara dena
zindagi 'najm' KHwab jaisi hai
lutf aane lage jaga dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.