baad muddat ke kabhi mujhse mili kahne lagi
ba.ad muddat ke kabhī mujh se milī kahne lagī
merī parchhā.ī bhī mujh ko ajnabī kahne lagī
vo kahā maiñ ne zabāñ se jo mire dil meñ na thā
mere dil kī baat merī ḳhāmushī kahne lagī
zarra zarra hai yahāñ raushan usī ke nuur se
maiñ usī kī ik shuā huuñ raushnī kahne lagī
dekh kar ūñchā.ī mere ḳhvāb kī parvāz kī
maiñ huuñ bebas tere aage bebasī kahne lagī
tū kahāñ rahtī hai pūchhā thā kisī ne ek din
maiñ ġhamoñ ke saath rahtī huuñ ḳhushī kahne lagī
baad muddat ke kabhi mujh se mili kahne lagi
meri parchhai bhi mujh ko ajnabi kahne lagi
wo kaha main ne zaban se jo mere dil mein na tha
mere dil ki baat meri KHamushi kahne lagi
zarra zarra hai yahan raushan usi ke nur se
main usi ki ek shua hun raushni kahne lagi
dekh kar unchai mere KHwab ki parwaz ki
main hun bebas tere aage bebasi kahne lagi
tu kahan rahti hai puchha tha kisi ne ek din
main ghamon ke sath rahti hun KHushi kahne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.