baad muddat ke mere aankh se aansu nikle
ba.ad muddat ke mire aañkh se aañsū nikle
ḳhushk sahrā meñ jo paanī gire ḳhushbū nikle
ashk sūkhe hue gāloñ pe kajī se nikle
raqs karte hue sahrāoñ meñ aahū nikle
tere dīvāne ke dīvānoñ ke dīvāne haiñ
terī kyā baat kareñ bātoñ se ḳhushbū nikle
tere maiḳhāne meñ jo aaj uchhālā sāġhar
ek qatre ke mire saikḌoñ pahlū nikle
sāqiyā tū ne jo kal dī thī mujhe kam dī thī
aaj nikle to faqat le ke tarāzū nikle
niiñd se chuur zamāne kī daraḳhshāñ ho hayāt
ghar se añgḌā.iyāñ letā huā gar tū nikle
baad muddat ke mere aankh se aansu nikle
KHushk sahra mein jo pani gire KHushbu nikle
ashk sukhe hue galon pe kaji se nikle
raqs karte hue sahraon mein aahu nikle
tere diwane ke diwanon ke diwane hain
teri kya baat karen baaton se KHushbu nikle
tere maiKHane mein jo aaj uchhaala saghar
ek qatre ke mere saikDon pahlu nikle
saqiya tu ne jo kal di thi mujhe kam di thi
aaj nikle to faqat le ke taraazu nikle
nind se chur zamane ki daraKHshan ho hayat
ghar se angDaiyan leta hua gar tu nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.