baad muddat ke samundar ka hua hun main bhi
baad muddat ke samundar kā huā huuñ maiñ bhī
ik qadam aur ki bas aa hī gayā huuñ maiñ bhī
dasht-e-pur-ḳhār meñ ye sho.ala-e-raftār kī zau
ai sabā dekh ki ik ābla-pā huuñ maiñ bhī
apne is sar se utartā nahīñ girtā bhī nahīñ
kyā ajab shor huuñ aur kaisī balā huuñ maiñ bhī
merī āñkhoñ meñ na utrā vahī paikar huuñ maiñ
mere hoñToñ pe na aa.ī vo duā huuñ maiñ bhī
mujh ko mat DhūñDh mire chāhne vāloñ meñ kahīñ
chāhne vāloñ ke atrāf khaḌā huuñ maiñ bhī
sāmne paḌte nazar aate haiñ apne hī qadam
kyā sunūñ ḳhud ko ki apnī hī sadā huuñ maiñ bhī
mujh pe barsānā dahakte hue sūraj kī tapish
āsmāñ dekh ki ik terī ghaTā huuñ maiñ bhī
ab kahāñ jā.egī ujḌe hue mausam kī bahār
is ḳharābe meñ kahīñ duur khaḌā huuñ maiñ bhī
sāneha koī shafaq paar chamakne ko hai
qāfila-shab ke guzarne kī sadā huuñ maiñ bhī
baad muddat ke samundar ka hua hun main bhi
ek qadam aur ki bas aa hi gaya hun main bhi
dasht-e-pur-KHar mein ye shoala-e-raftar ki zau
ai saba dekh ki ek aabla-pa hun main bhi
apne is sar se utarta nahin girta bhi nahin
kya ajab shor hun aur kaisi bala hun main bhi
meri aankhon mein na utra wahi paikar hun main
mere honTon pe na aai wo dua hun main bhi
mujh ko mat DhunDh mere chahne walon mein kahin
chahne walon ke atraf khaDa hun main bhi
samne paDte nazar aate hain apne hi qadam
kya sunun KHud ko ki apni hi sada hun main bhi
mujh pe barsana dahakte hue suraj ki tapish
aasman dekh ki ek teri ghaTa hun main bhi
ab kahan jaegi ujDe hue mausam ki bahaar
is KHarabe mein kahin dur khaDa hun main bhi
saneha koi shafaq par chamakne ko hai
qafila-shab ke guzarne ki sada hun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.