baad-o-baran ki nigahon mein nami achchhi lagi
bād-o-bārāñ kī nigāhoñ meñ namī achchhī lagī
ham ko apnī zindagī kī bekalī achchhī lagī
qadr kab is zindagī kī zindagī meñ ho sakī
maut aa.ī rū-ba-rū to zindagī achchhī lagī
baḌh ke jis ne thaam lī laġhzish mirī be-sāḳhta
aaj us ma.asūm kī ye sādgī achchhī lagī
guuñj par zanjīr kī ik raqs bismil ne kiyā
zulm kī vahshī fazā meñ naġhmagī achchhī lagī
barmalā kuchh kah diyā kuchh kahte kahte ruk ga.e
ham ko us kī ik kahī ik an-kahī achchhī lagī
baar thā jis kī tabī.at par sadā zauq-e-suḳhan
aaj us ko bhī hamārī shā.irī achchhī lagī
baad-o-baran ki nigahon mein nami achchhi lagi
hum ko apni zindagi ki bekali achchhi lagi
qadr kab is zindagi ki zindagi mein ho saki
maut aai ru-ba-ru to zindagi achchhi lagi
baDh ke jis ne tham li laghzish meri be-saKHta
aaj us masum ki ye sadgi achchhi lagi
gunj par zanjir ki ek raqs bismil ne kiya
zulm ki wahshi faza mein naghmagi achchhi lagi
barmala kuchh kah diya kuchh kahte kahte ruk gae
hum ko us ki ek kahi ek an-kahi achchhi lagi
bar tha jis ki tabiat par sada zauq-e-suKHan
aaj us ko bhi hamari shairi achchhi lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.