baad tere haalat ne kitne moD liye
ba.ad tire hālāt ne kitne moḌ liye
ham ne vīrānoñ se rishte joḌ liye
ḳhvāb sajā kar patthar kī almārī meñ
ham ne saare kāñch ke bartan toḌ liye
gulshan bhī vīrāne jaisā lagtā hai
phuul us ne khilte hī saare toḌ liye
Dah ga.iiñ zabt kī saarī kachchī dīvāreñ
aañkh ke gauhar haath se mal kar phoḌ liye
aivānoñ meñ baiThe hue sab behis log
ham ne 'zebā' jī tanhā jhinjhoḌ liye
baad tere haalat ne kitne moD liye
hum ne viranon se rishte joD liye
KHwab saja kar patthar ki almari mein
hum ne sare kanch ke bartan toD liye
gulshan bhi virane jaisa lagta hai
phul us ne khilte hi sare toD liye
Dah gain zabt ki sari kachchi diwaren
aankh ke gauhar hath se mal kar phoD liye
aiwanon mein baiThe hue sab behis log
hum ne 'zeba' ji tanha jhinjhoD liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.