baad uske mere ghar mein aur kya rah jaega
ba.ad us ke mere ghar meñ aur kyā rah jā.egā
bas kisī ke naam kā patthar lagā rah jā.egā
kaan bhar jā.eñge mere ḳhalvatoñ ke shor se
us kī yādoñ kā payambar boltā rah jā.egā
qaid kar legā koī bachcha paroñ ko kaaT kar
āsmāñ kī samt totā dekhtā rah jā.egā
qatl kar Dālūñ maiñ ḳhud ko sochtā huuñ baar baar
mere hāthoñ meñ magar ye ḳhuuñ lagā rah jā.egā
ajnabī ban ban ke puchhuñgā maiñ apnī ḳhairiyat
aaj ā.īna mirā muñh dekhtā rah jā.egā
lams ke sho.aloñ meñ saarī haDDiyāñ gal jā.eñgī
sirf kāñdhoñ par hamārā sar dharā rah jā.egā
log vīrāne meñ chhup jā.eñge maare ḳhauf ke
bastiyoñ ke biich ullū boltā rah jā.egā
yuuñ uḌā.ūñgā maiñ sab ke sāmne apnā mazāq
vo mire baare meñ kyā kuchh sochtā rah jā.egā
baad us ke mere ghar mein aur kya rah jaega
bas kisi ke nam ka patthar laga rah jaega
kan bhar jaenge mere KHalwaton ke shor se
us ki yaadon ka payambar bolta rah jaega
qaid kar lega koi bachcha paron ko kaT kar
aasman ki samt tota dekhta rah jaega
qatl kar Dalun main KHud ko sochta hun bar bar
mere hathon mein magar ye KHun laga rah jaega
ajnabi ban ban ke puchhunga main apni KHairiyat
aaj aaina mera munh dekhta rah jaega
lams ke shoalon mein sari haDDiyan gal jaengi
sirf kandhon par hamara sar dhara rah jaega
log virane mein chhup jaenge mare KHauf ke
bastiyon ke bich ullu bolta rah jaega
yun uDaunga main sab ke samne apna mazaq
wo mere bare mein kya kuchh sochta rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.