baada-e-ishq ka hai jam ghazal
bāda-e-ishq kā hai jaam ġhazal
husn kā dūsrā hai naam ġhazal
dil kī āvāz kā hai naam ġhazal
hai mohabbat bharā payām ġhazal
ahl-e-dil ke laboñ pe rahtī hai
tujh ko hāsil hai vo maqām ġhazal
dard vaale baḌe ḳhulūs ke saath
gungunāte haiñ sub.h shaam ġhazal
kitnī maqbūliyat huī hāsil
ho ga.ī hai qubūl-e-ām ġhazal
jahāñ logoñ ke badle ruj.hānāt
tū ne badlā vahīñ nizām ġhazal
dil kī dil hī meñ rah ga.ī 'akmal'
kyā sunā.ūñ maiñ nā-tamām ġhazal
baada-e-ishq ka hai jam ghazal
husn ka dusra hai nam ghazal
dil ki aawaz ka hai nam ghazal
hai mohabbat bhara payam ghazal
ahl-e-dil ke labon pe rahti hai
tujh ko hasil hai wo maqam ghazal
dard wale baDe KHulus ke sath
gungunate hain subh sham ghazal
kitni maqbuliyat hui hasil
ho gai hai qubul-e-am ghazal
jahan logon ke badle rujhanat
tu ne badla wahin nizam ghazal
dil ki dil hi mein rah gai 'akmal'
kya sunaun main na-tamam ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.