baadal bana raha hun main ashkon ki bhap se
bādal banā rahā huuñ maiñ ashkoñ kī bhaap se
jhagḌā hai nā-guzīr mirā apne aap se
ḳhushiyoñ ke saath mere ravābit haiñ āj-kal
ġham ko kashīd kartā huuñ Dholak kī thaap se
jā.uñgā saare mas.ale virse meñ chhoḌ kar
tarke meñ jo mile haiñ mujhe apne baap se
puurā kiyā hai dil ne unheñ kāñT-chhāñT kar
vo dukh bahut baḌe the kahīñ mere naap se
hāsil vasūl kyā hai ḳhazāne pe baiTh kar
kiilā gayā huuñ maiñ kisī mantar ke jaap se
masraf nikal to aaya hai andar kī aag kā
dil ke phaphole jalne lage haiñ alaap se
sach-much kisī se koī adāvat nahīñ magar
kuchh pun kamā rahā huuñ mohabbat ke paap se
aise hī to maiñ us kā nishāna nahīñ banā
pahchāntā thā vo mujhe qadmoñ kī chaap se
phir lahlahā uThī haiñ tabassum kī khetiyāñ
khilne lage haiñ phuul diloñ ke milāp se
baadal bana raha hun main ashkon ki bhap se
jhagDa hai na-guzir mera apne aap se
KHushiyon ke sath mere rawabit hain aaj-kal
gham ko kashid karta hun Dholak ki thap se
jaunga sare masale wirse mein chhoD kar
tarke mein jo mile hain mujhe apne bap se
pura kiya hai dil ne unhen kanT-chhanT kar
wo dukh bahut baDe the kahin mere nap se
hasil wasul kya hai KHazane pe baiTh kar
kila gaya hun main kisi mantar ke jap se
masraf nikal to aaya hai andar ki aag ka
dil ke phaphole jalne lage hain alap se
sach-much kisi se koi adawat nahin magar
kuchh pun kama raha hun mohabbat ke pap se
aise hi to main us ka nishana nahin bana
pahchanta tha wo mujhe qadmon ki chap se
phir lahlaha uThi hain tabassum ki khetiyan
khilne lage hain phul dilon ke milap se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.