baadal teri surat hai
bādal terī sūrat hai
bārish terī sīrat hai
be-sudh maiñ din-rāt phirūñ
terā 'ishq burī lat hai
sāñsoñ pe ik naam japūñ
man-mandir meñ mūrat hai
maiñ khojūñ rozāna hī
aur na tujh sī sūrat hai
jab se hai tujh ko jaanā
har pal ġham kī barakat hai
rone se kyā hāsil 'rūh'
sirf jigar hī qīmat hai
baadal teri surat hai
barish teri sirat hai
be-sudh main din-raat phirun
tera 'ishq buri lat hai
sanson pe ek nam japun
man-mandir mein murat hai
main khojun rozana hi
aur na tujh si surat hai
jab se hai tujh ko jaana
har pal gham ki barakat hai
rone se kya hasil 'ruh'
sirf jigar hi qimat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.