baadalon ki tarah barish ki kahani mein raho
bādaloñ kī tarah bārish kī kahānī meñ raho
tum mirā ġham ho mirī aañkh ke paanī meñ raho
mujh ko mā'lūm hai tum 'ishq nahīñ kar sakte
to havas ban ke mire jism ke mā'nī meñ raho
maiñ ne pheñkā nahīñ TuuTe hue ā.īne ko
taaki tum bikhre hue merī nishānī meñ raho
dostī tum se dubāra to nahīñ ho saktī
tum mire saath mire dushman-e-jānī meñ raho
ye na.ī dillī tumheñ raas nahīñ aa.egī
lauT kar aao mirī jaan purānī meñ raho
baadalon ki tarah barish ki kahani mein raho
tum mera gham ho meri aankh ke pani mein raho
mujh ko ma'lum hai tum 'ishq nahin kar sakte
to hawas ban ke mere jism ke ma'ni mein raho
main ne phenka nahin TuTe hue aaine ko
taki tum bikhre hue meri nishani mein raho
dosti tum se dubara to nahin ho sakti
tum mere sath mere dushman-e-jaani mein raho
ye nai dilli tumhein ras nahin aaegi
lauT kar aao meri jaan purani mein raho
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 60)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.