baadh aai ganw ko dariya baha kar le gaya
baaḌh aa.ī gaañv ko dariyā bahā kar le gayā
ek pyāsā dūsre pyāse ko aa kar le gayā
ruuh meñ sadiyoñ kā sannāTā basā kar le gayā
maiñ jo arz-e-shahr se sahrā uThā kar le gayā
zehn kī almāriyoñ meñ dhuul sī uḌne lagī
koī alfāz-o-ma.ānī sab churā kar le gayā
rah gayā qaa.em phir us kī pāk-bāzī kā bharam
phir vo ik shaitān se ḳhud ko bachā kar le gayā
pahle kī mānind lutf-e-ābla-pā.ī nahīñ
kaun merī raah ke kāñTe uThā kar le gayā
kauḌiyoñ ke mol 'tāhir' bik ga.ī jins-e-hunar
māl-e-muflis har koī qīmat ghaTā kar le gayā
baDh aai ganw ko dariya baha kar le gaya
ek pyasa dusre pyase ko aa kar le gaya
ruh mein sadiyon ka sannaTa basa kar le gaya
main jo arz-e-shahr se sahra uTha kar le gaya
zehn ki almariyon mein dhul si uDne lagi
koi alfaz-o-maani sab chura kar le gaya
rah gaya qaem phir us ki pak-bazi ka bharam
phir wo ek shaitan se KHud ko bacha kar le gaya
pahle ki manind lutf-e-abla-pai nahin
kaun meri rah ke kanTe uTha kar le gaya
kauDiyon ke mol 'tahir' bik gai jins-e-hunar
mal-e-muflis har koi qimat ghaTa kar le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.