bagh-e-bahisht zist bana kar chala gaya
bāġh-e-bahisht ziist banā kar chalā gayā
jo bujh ga.e charāġh jalā kar chalā gayā
vaise to us ke paas zarā bhī samay na thā
kuchh vaqt phir bhī saath bitā kar chalā gayā
ab tak sulag rahā hai ye dil us ke 'ishq meñ
vo to maze se aag lagā kar chalā gayā
aayā thā chaar din ko mirī zindagī meñ vo
aur chaar din kā saath nibhā kar chalā gayā
'ālam thā ġham-gusārī kā ranj-o-alam kā phir
tajvīz-e-ġham rihā.ī sunā kar chalā gayā
kyoñ barqarār hai mirī nazroñ kī tishnagī
jab ke vo jāñ-nisār to aa kar chalā gayā
yuuñ jalva-hā-e-husn-e-mujassam hue 'ayāñ
ahl-e-ḳhirad ke hosh uḌā kar chalā gayā
tauba re āshiyān-e-taḳhayyul pe barhamī
barq-e-tapāñ se us ko jalā kar chalā gayā
aayā thā vo palaT ke nadāmat ke vāste
do chaar bāteñ aur sunā kar chalā gayā
bagh-e-bahisht zist bana kar chala gaya
jo bujh gae charagh jala kar chala gaya
waise to us ke pas zara bhi samay na tha
kuchh waqt phir bhi sath bita kar chala gaya
ab tak sulag raha hai ye dil us ke 'ishq mein
wo to maze se aag laga kar chala gaya
aaya tha chaar din ko meri zindagi mein wo
aur chaar din ka sath nibha kar chala gaya
'alam tha gham-gusari ka ranj-o-alam ka phir
tajwiz-e-gham rihai suna kar chala gaya
kyon barqarar hai meri nazron ki tishnagi
jab ke wo jaan-nisar to aa kar chala gaya
yun jalwa-ha-e-husn-e-mujassam hue 'ayan
ahl-e-KHirad ke hosh uDa kar chala gaya
tauba re aashiyan-e-taKHayyul pe barhami
barq-e-tapan se us ko jala kar chala gaya
aaya tha wo palaT ke nadamat ke waste
do chaar baaten aur suna kar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.